Thursday 16 June 2011

Kahi Door Chale Jaye...!


Aaj hum aisa kuch kar jaye,
Rashme duniya se chale kahi door jaye,
Tere kandhe pe rakh ke sar apna,
Sari duniya ko hum bhul jaye,
Chale kahi aise desh hum jaye,
Jis jagha pyar ho mohabbat ho,
Koi nafrat na shikayat ho,
Har taraf phool ho bhare ho,
Door tak hum jha nazar dale,
Pyar palta ho pyar ka basera ho,
Na koi gair na koi praya ho,
Har taraf insaniyat ka pehra ho,
Koi na jhut na koi dehshat ho,
Pyar hi pyar ki wo dunia ho,
Ek dujje ko sab lgayen galle,
Na kisi ko kisi se shikayat ho,
Har zaban par sirf Bhagwan ho,
Har zaban par phla Ram ka Naam ho,
Jo khuda ne kha sabhi se ho,
Pehle insaniyat ka chehra ho,
Har labbon par khi lee tabbassum ho,
Har kisi dil me bhagwan basta ho,
Ek ho kar rhe sabhi bhai,
Chahe Hindu ho ya Musalma ho,
Pyar ki har taraf sune boli,
Beti babul ki ho sabhi bholi,
Biwi ho nek dil sabhi ki jha,
Maa bhi sab ko pyar deti ho,
Bhai behno pe jaan dete ho,
Behne sirf bhai ko pyar karti ho,
Dhan dolat ki na rahe chahat,
Sirf insanniyat ki kimat ho,
Ya khuda tu bna de aesa jahan,
Jis me bas pyar hi pyar palta ho,.
karle "Yash" ki dua ye kabul,
Har taraf fir to jannat ka nazaara ho...!

No comments:

Post a Comment