Tuesday 28 June 2011

Fir Ek Cigarette Jala Raha Hu....!

Fir ek cigarette jala raha hu,
Fir ek teelli bhuja raha hu,
Uski nazar mein ye ek gunah hai,
Main to uske waade bhula raha hu,
Samjhna mat esko meri aadat,
Main to bus dhuaa uda raha hu,
Ye uski yaadon ke silsile hai,
Main to uski yaadein jala raha hu,
Main pee ker itna behak chuka hu,
Ki gum ke kisse suna raha hu,
Agar tumhe bhi gum hai to pass aao,
Main pee raha hu or pila raha hu,
Hai meri aankhe to aaj naam,
Magar main sabko hasha raha hu,
Khoker apni zindgi main,
Apne Be-inteha pyar ko bhula raha hu,
Ek cigarette ki shama ke bahane,
Main apne aap ko jala raha hu,
Aaj fir ek cigarette jala raha hu........!!!



Saturday 18 June 2011

Tum Bhi Hume Chaho Iss Tarah...!


Aankhon mein teri duub ke kho jaye iss tarah,
dil tujhko de ke ho gaye bejaan iss tarah,
Yu tere ishq mein deewane ho gaye,
Majnu ke Ishq mein lailaa thi jiss tarah,
Tujhse hai kitna pyar bataein kiss tarah,
hasshte hue ye jaan de denge iss tarah,
Taaumar bahoon mein teri guzre ye zindgi,
raab se dua mangte hai tadap kar iss tarah,
Ummid tumse rakhte hai hum bhi ye sanam,
ki tum bhi humari tarah chaho hume bhi iss tarah...!



Ye Dua Meri Aan Ban Gayi Hai...!


Guzra tadap-tadap kar har pal mera
milne ke baad jab tu door ho gaye,
Hum ko apne aap se hi door kar gayi
bholi si teri suraat kaisa kaam kar gayi,
kya chiz hai mohabbat ye jante na the
ulfaat ki bekaraari pehchante na the,
Tu door jab hua to ye jaan bhi gaye
kia chiz hai mohabbat pehchaan bhi gaye,
Duniya mein tum se pyara koi nahi hai
teri nigahee - naaz bada kaam kar gayi hai,
Ab to raat din laabo par duwaa yehi hai
tujhse mila de malik ab to laabo pe Saans aa gayi hai,
Mohabbat meri pehli chahat mere khuda hai
"Yash"… ki ye duwa ab aan ban gayi hai....!

Friday 17 June 2011

Khushi Se Mohabbat Mein Maar Jaunga....!


Tere pyar mein kuch bhi kar jaunga
main sari haddon se guzar jaunga,
Tu dunia hai meri… Mera pyar hai
or kya kahu tujhe, main maar jaunga,
Dukhon ko bhi hassh kar seh jaunga
magar tujhse ek wada mujhe chahiye,
Tu rehna meri warna maar jaunga
main tera hu sajan ye maan le tu,
Hu main teri khushi me ye jaan le tu
teri raah mein apni palken bicha du,
Hoon kaante jo teri raho mein wo sare hata du
teri ek khushi ke liye kuch bhi kar jaunga,
Mohabbat mein haad se guzar jaunga
khushi se mohabbat mein maar jaunga....!

Meri Maa Haye Kitni Bholi Hai....!


Maa Ke Qaddmo Mein Meri Jannat Hai
Us Ki Khushiyon Ki Raab Se Mannat Hai
Us Ka Aanchal Sada Rahe Sar Pe
Rab Se Mangi Ye Hi Mannat Hai,
Meri Maa Haye Kitni Bholi Hai
Meri Khushiyon Mein Us Ki Jholi Hai
Jaan Us Par Nisar Kar Du Mein
Meri Khushiya Wo Meri Jannat Hai,
Meri To Sabhi Se Eltaja Hai Yehi
Sabhi Maa-Baap Ko Pyar Karo
Dunia Ki Khushiya Un Par Nisar Karo
Qaadmon Mein Un Ke Dunia War do,
Jitna Bhi Doge Pyar Wo Kaam Hai
UnKi Qurbaniyo Mein Wo Daam Hai
UnKa Koi Jawab Nhi Bina lalach ki Chahat Hai
UnKe Pairo Mein Humari Jaannat Hai,
Saari Dunia Ek Taraf Or Maa Baap Ek Taraf
UnKi Koi Misal Nhi Un Ka Koi Jwab Nhi
Sab Ko Naseeb Ho Maa-Baap Ka Pyar
Unke Jaisi Jahan Mein Koi Duji Cheez Nahi,
Wo Na Hote To Tumhara Naseeb Nhi
Tham Lo Un Ke Budhe Hathon Ko
Un Ke Jaisa Jahan Mein Koi Garib Nahi
Dunia Mein Un Jaise Koi Qarib Nahi
Sab Ko Bus Apna Apna Kehna Hai
Apni Biwi Apna Gehna Hai
Ye Nhi Jante Ki Kal InKo Fir Se
Maa - Baap Ban Ke Rehna Hai,
Wohi Batein Hai Fir Wohi Sapne Hai
Waqt Dohrayega Wo Sab Jo Kal
Tumhare Sath Zarur Hona Hai
Jo Fasal Bodi Wo To Kaato Gee hi,
Ye To Dastur Bahut Purana Hai
Kaisi Lagi "Yash" Ki Ye Batein Tum Ko
Padh Ke InKo Zaara Goor Karo
Apne Maa-Baap Ko Na Door Karo.....
Na Door Karo......!

Ye Kaun Hai...!


  Ye kaun hai jo mujhe dil jigar btata hai,
Ye kaun hai jo mujhe khud se door karta hai,
Ye kaun hai jo meri rooh ko apna btata hai,
Ye kaun sa naya mood zindgi ka hai,
Ye kaun hai jo mere labo ko gul btata hai,
Ye kaun hai jo mujhe zindgi btata hai,
Ye kaun hai jo mera dil jigar churata hai,
Main uski yaad mein jita raha ta umr tanha,
Or wo mujhe kehta hai tera saya hai,
Main jo thadpu to wo thadapta hai,
Main hansoo to sath mere hansta hai,
Ye kaisa pyar hai kaun sa ye rishta hai,
Main uski yaad mein khud ko bhi bhul betha hu,
Ye kaisa pyar hai jo jaan mujhe batata hai,
Wo door mujhse raha or Mere sath raha,
Wo rooh banker Meri rooh me samata hai.....!


Wo Mujhse Itna Door Ho Gaya...!


Dekh kar Tanha Mujhse pucha Baharon ne,
Kaha gaya tera wo Hamsafar...?
Tujhe to Bada Naaz tha us par.
Ye Dekh kar Main Chup Raha,
Magar...!

Mere Ansuaon ne Jawab dia,
Milna Qismat, Bichdna Naseeb tha,
Wo mujhse Itna Door Ho Gaya,
Jitna Wo Mere Qareeb Tha...!




Ab To Aa Jao...!


Tu nahi hai to tera gham meri tanhai hai,
Teri ek yaad hai jo mere dil ko bhai hai,
Aankh naam hai or dil me dard ka alam hai,
Honth see kar bhi ruswai yaha uthai hai,
Kya gamon ko hi pyar khte hai,
Ya taqdeere moohabbat hi judai hai,
Hal dil ka kuch aaj aisa hai sajan,
Tadhapte dil ne tumhe pukara hai,
Rooti aankho ne bhi pukara hai,
Dil ki dhadkan tumhe bulati hai,
Rukti sanson ne bhi pukara hai,
Mera ye room room khta hai,
Bhige honton ne bhi pukara hai,
Raat barsat hui hai aa jao ye ishara hai,
Thak gaye ab to kar ke intzaar tera.....!

Based on unemployment...!

Garibdas ke Char Bette....!

Garibdas ne mujhe chai per bulaya,
apne char betto se mera parichaye karwaya,

Sabse bada ladka MBBS pass hai,
Naam iska Harsh hai lakin, rahta udas hai,

Jo yeh samne tutti khatt per leta hai, ye mera dusra betta hai,
London se aaya hai Engineer ki degree laya hai,

Yeh jo naal per paani bhar rha hai, yeh mera tishra betta hai,
Hindi mein M.A ker chuka hai, PHD kr rha hai,

Chotthe ka dimag Zrurat se jyada high hai,
Padh-Likh nhi paya ishliye Naie hai,

Hair-dressing saloon per jata hai,
Acche-Accho ki Hazamat banata hai,

Maine kha, Garibdas ji Pariwar ki Reputation sambhaliye,
Iss Naie ko Ghar se Nikaliye,

Apne Tieno betto ko to khub Padhaya hai,
Per yeh Makhmal mein Tatt ka paiband kha se aaya hai,

Wo bole, Nikal to de per-
Aaj kal yeh Bahut kaam aa rha hai,

Baki sab Berojgaar hai,
Ghar to bus yahi chala raha hai....!


Thursday 16 June 2011

Apna khuda bana baithe...!


Apna sab kuch tumhe bna baithe
apni har sans me tumko basha baithe
Apna hum to khuda bna baithe
kis qadar mera dil ye pyasa hai
apna jaam tumhe bna baithe
rab se manga hai tum ko maine sanam
sari dunia ko hum gawan baithe
kitna pyara hai ye mera sapna
tumko palkon mein hum saja baithe
tum milo ya na milo hum ko
apni dhadkan tumhe bna baithe
rab mere maff karde meri khata
insan ko khuda bna baithe
"Yash" kyon pyar itna karte ho
kaise pardesi pe jaan nisar kar baithe....!


Kahi Door Chale Jaye...!


Aaj hum aisa kuch kar jaye,
Rashme duniya se chale kahi door jaye,
Tere kandhe pe rakh ke sar apna,
Sari duniya ko hum bhul jaye,
Chale kahi aise desh hum jaye,
Jis jagha pyar ho mohabbat ho,
Koi nafrat na shikayat ho,
Har taraf phool ho bhare ho,
Door tak hum jha nazar dale,
Pyar palta ho pyar ka basera ho,
Na koi gair na koi praya ho,
Har taraf insaniyat ka pehra ho,
Koi na jhut na koi dehshat ho,
Pyar hi pyar ki wo dunia ho,
Ek dujje ko sab lgayen galle,
Na kisi ko kisi se shikayat ho,
Har zaban par sirf Bhagwan ho,
Har zaban par phla Ram ka Naam ho,
Jo khuda ne kha sabhi se ho,
Pehle insaniyat ka chehra ho,
Har labbon par khi lee tabbassum ho,
Har kisi dil me bhagwan basta ho,
Ek ho kar rhe sabhi bhai,
Chahe Hindu ho ya Musalma ho,
Pyar ki har taraf sune boli,
Beti babul ki ho sabhi bholi,
Biwi ho nek dil sabhi ki jha,
Maa bhi sab ko pyar deti ho,
Bhai behno pe jaan dete ho,
Behne sirf bhai ko pyar karti ho,
Dhan dolat ki na rahe chahat,
Sirf insanniyat ki kimat ho,
Ya khuda tu bna de aesa jahan,
Jis me bas pyar hi pyar palta ho,.
karle "Yash" ki dua ye kabul,
Har taraf fir to jannat ka nazaara ho...!

Break My Heart....!



Woh roye to muh mod ke roye,
Koi mazburi hogi jo dil tod ke roye,
Mere samne tukde kar diye meri tasveer ke,
Baad mein pata chala ke ushe jod ke roye.....!




Unhone dekha aur Aansu ghir pade,
Bhari barsaat mein jaise phul bhikar pade,
                           
             Dukh ye nahi ki unhone hume alvida kaha,
Dukh toh ye hai ki uske baad wo khud bhi roo pade…!


Remember me....!


Zamane bhar ki baaton mein humein na bhula dena,
Jab kabhi yaad aaye to zara sa muskura dena,

Zinda rahe to milenge bar-bar sanam,
Nahi to har Diwali mere naam ka diya jala dena.



Saturday 4 June 2011

I' Waiting for Someone...!


"I am waiting for someone,
who will never come...!"
The smiles that I shared,
tears that rolled out,

Why Blow of a wind that slowly
tells me that you would return,
Return to where you belong,
to where your love is,
I am waiting for someone who
will never come...!

Ask my heart to stop beating for
you,
Let me loose so that I can fly again
and feel your presence,
Let me run away from your
memories,
I am still waiting for someone
who will never come..!

Why do I still wait when we know
he wouldn't come back,
he answer to this is -
"I DON'T KNOW WHY,"
But I do......!!!

Eyes doesn't stop looking at the
door & ears for your voice,
I am waiting for someone who
has to come,
I am waiting for someone who
has to come for me & only me.....!



Humne bhi apni zrurat badal li........!


Dhaar waqt ki tez thi, zindgi kaanto ki saej thi,
Phir achanak tum aye, aur. . . . . .!
Tufan ne karwat badal li.....
Lehro ne apni roow badal li...
sab ek ek kar k guzar gaye Gum....
Humne bhi apni "Zarurat" badal li....

kash..! tum samajh pate wo dhadkano ka dard,
kuch pata nahi dil ne kya rangat badal li.........!

Thursday 2 June 2011

Hi Friends...........!


If You Will Take One Step Toward Me, I Will Take Ten Step Toward You......

But, First Step You Will Have to Taken........!