Monday 11 July 2011

Ek Baar Suno Kuch Esa Hua....!

Ek Baar Suno Kuch Esa Hua....!


Wo Mujhko Mili,
Main Usko Mila..


Izhar Hua,
Iqrar Hua,


Wo Chahne Lagi,
Main Chahne Laga,


Use Pyar Bahut,
Mujhe Pyar Bahut,


Phir Kuch Yun Hua...!


Wo Chhod Gayi,
Main Toot Gaya,


Phr Kuch Yun Mile...!


Wo Tanha Thi,
Main Akela Tha,


Bas Hum Do The,
Or Na koi Tisra Tha,


Wo Roone Lagi,
Main Bebas Raha,


Na Pyar raha,
Na Izhaar Raha,


Bas Farq Sirf Itna Sa Raha,
WO Mitti ke upar roti rahi...
Main Mitti ke andar sota raha....!!!


“Sharaab”...!

Duriya Aasani Se Mitati Hai “SHARAAB”,
Majburiyon Ko Nashe Mein Nachati Hai “SHARAAB"...

Aansuo Ko Mila De Tu Apne Har Ek Jaam Mein,
Fir Dekh Kaise Yaadon Ko Aur Kareeb Lati Hai “SHARAAB”...


Thaak Chuke Hai Jo Is Duniya Ke Sitamo Se,
Unhe Do Pal Ki Rahat Dilati Hai “SHARAAB”...

Pankh Laga Ke Aasmaan Mein Udd Jaate Hai Jo Panchi,
Do Ghoot Mein Unhe Baaho Mein Laa Sakti Hai “SHARAAB”...

Jiss Ka Sath Sari Duniya Chod Deti Hai,
Unke Hatho Mein Aksar Paayi Jati Hai “SHARAAB”...

Kabhi Bhi Apne Gumon Ko Bhulna Ho To Keh Dena,
Kitne Bhi Bade Gum Me Kisiko Bhi Hasati Hai “SHARAAB......!!!”







Saturday 2 July 2011

Tujhe Chod bhi nahi Sakte Hai...

Tujhe Chod bhi nahi Sakte Hai,Tere Ho Bhi Nahi Sakte hai,
Ye Kaisi Be-Bashi Hai Aaj, Hum Roo Bhi Nahi Sakte hai,
Ye Kaisa Dard Hai Pal - Pal Humein Tadpaye Rakhta Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai To Phir Soo Bhi Nahi Sakte hai,
Naa Chupa Sakte Hai Aur Naa Hum Dekha Sakte Hai,
Kuch Aise Daag Hai Dil Par Jo Hum Dho Bhi Nahi Sakte hai,
Kha Tha Chod Denge Yeh Shahar Phir Ruk Gaye,
Tumhe Paa bhi Nahi Sakte hai, Magar Khoo Bhi Nahi Sakte hai,
Humara Ek Hona Bhi Mumkin Nahi Raha Aab To,
Jiyee Kaise Ab Ke Tum Se Door Ho Bhi Nahi Sakte...!!!

Friday 1 July 2011

Mera Mehboob Be Naqab Aaya Hai…!


Ek Ladki wo gali se guzra karti thi..
Uske chehre per naqab hua karta tha..
Per phir bhi us per ek ladka marta tha..
Shayad wo use dil-o-jaan se chahta tha..
Jab bhi usse milta to yahi kehta..
Apne chehre se naqab to hatao..
Apna chand sa pyara chehra to dikhao..
Per ladki ne chehre se naqab nahi Hataya..
Ladke ko apna chehra nahi dikhaya…
bahut din beet gaye......
Uss ladki ko wo ladka Nazar nahi aaya..
Ladki kuch bechain see rehne lagi..
Phir kisi tarha wo poochte-2 uske gher pahunch gai..
Padosiyon ne kaha aapko aane mein thodi dair ho gayi..
Uss deewane ki to 7 roz pehle hi maut ho gayi...
Padosiyon ne apna Farz nibhaya..
Ladki ko Ladke ki qabar tak pahunchaya..
Ladki Qabar per zor-zor se roone lagi..
Apne aashuo se Qabar ko dhone lagi..
Itne mein Qabar mein se ek Awaz Aayi..
"EYE KHUDA YEH KAISA INQLAAB AAYA HAI..
AAJ MAIN PARDE MEIN HOON……
AUR MERA MEHBOOB BENAQAB AYA HAI......!!!"


Tuesday 28 June 2011

Fir Ek Cigarette Jala Raha Hu....!

Fir ek cigarette jala raha hu,
Fir ek teelli bhuja raha hu,
Uski nazar mein ye ek gunah hai,
Main to uske waade bhula raha hu,
Samjhna mat esko meri aadat,
Main to bus dhuaa uda raha hu,
Ye uski yaadon ke silsile hai,
Main to uski yaadein jala raha hu,
Main pee ker itna behak chuka hu,
Ki gum ke kisse suna raha hu,
Agar tumhe bhi gum hai to pass aao,
Main pee raha hu or pila raha hu,
Hai meri aankhe to aaj naam,
Magar main sabko hasha raha hu,
Khoker apni zindgi main,
Apne Be-inteha pyar ko bhula raha hu,
Ek cigarette ki shama ke bahane,
Main apne aap ko jala raha hu,
Aaj fir ek cigarette jala raha hu........!!!



Saturday 18 June 2011

Tum Bhi Hume Chaho Iss Tarah...!


Aankhon mein teri duub ke kho jaye iss tarah,
dil tujhko de ke ho gaye bejaan iss tarah,
Yu tere ishq mein deewane ho gaye,
Majnu ke Ishq mein lailaa thi jiss tarah,
Tujhse hai kitna pyar bataein kiss tarah,
hasshte hue ye jaan de denge iss tarah,
Taaumar bahoon mein teri guzre ye zindgi,
raab se dua mangte hai tadap kar iss tarah,
Ummid tumse rakhte hai hum bhi ye sanam,
ki tum bhi humari tarah chaho hume bhi iss tarah...!



Ye Dua Meri Aan Ban Gayi Hai...!


Guzra tadap-tadap kar har pal mera
milne ke baad jab tu door ho gaye,
Hum ko apne aap se hi door kar gayi
bholi si teri suraat kaisa kaam kar gayi,
kya chiz hai mohabbat ye jante na the
ulfaat ki bekaraari pehchante na the,
Tu door jab hua to ye jaan bhi gaye
kia chiz hai mohabbat pehchaan bhi gaye,
Duniya mein tum se pyara koi nahi hai
teri nigahee - naaz bada kaam kar gayi hai,
Ab to raat din laabo par duwaa yehi hai
tujhse mila de malik ab to laabo pe Saans aa gayi hai,
Mohabbat meri pehli chahat mere khuda hai
"Yash"… ki ye duwa ab aan ban gayi hai....!